Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Mukhyamantri Arvind Kejriwal ki Kendra sarkar Se apeel ish saal Cancil ho 10th.12th ki bord exam

Mukhyamantri Arvind Kejriwal ki Kendra sarkar Se apeel ish saal Cancil ho 10th.12th ki bord exam

Mukhyamantri Arvind Kejriwal ki Kendra sarkar Se apeel ish saal Cancil ho 10th.12th ki bord exam


Corona Infection ke badte mamlon se chintit delhi ke mukhyamantri aravind Kejriwal ne kendr sarkar se apeel ki hai ki 10वीं or 12वीं ki bord ki pariksha ko radd kiya jaye unhone kaha ki vidharthi ko kisi dusre tarike se Pass karne ka tarika nikala jaa sakta hai lekin badte sankramad ko dekhte huye pariksha har haal me Cancil hona chahiye 


Desh ke tamam rajyon ki tarah rashtriya rajdhani delhi me bhi corona aakramad ke mamle teji se badh rahen hai vahin badte mamlon ko dekhte huye delhi ki Arvin kejriwal sarkar bhi aakramad ki roktham hetu avashya kadam utha rahi hai vahi delhi ke mukhyamantri aravind Kejriwal ne badte mamlon ko dekhte huye kendr sarkar se apeel ki hai 10वीं or 12वीं ki bord ki pariksha ko radd kar diya jaye 


Kendr sarkar se Arvind Kejriwal ne pariksha radd karne ki apeel ki hai 

Arvind Kejriwal ne kaha hai ki CBSE exam me 6 lakh bacche delhi me parikshaon me baithenge meri hath jodkar kendr sarkar se nivedan hai ki CBSE ki parikshaon ko Cancil kiya jaye aur bacchon ko pass karne ka koi dushra tarika ho sakta hai lekin pariksha har haal me radd honi chahiye unhone ye bhi kaha hai ki parikshaon ke dauran 1 lack Adhyapak samil honge ish vajeh se sankramad failne ka pura andesha hai unhone kaha ki bacchon ka jeevan aur Health hamare liye bahut mahatvpurn hai main CBSE pariksha radd karne ke liye kendr sarkar se anurodh karta hun 


65 pratishat marij 45 saal se kam umer ke


Arvind Kejriwal ne bite 10-15 dino ka data dekhte huye bataya ki 65 pratishat marij  45 saal se kam umar ke hai ish samay desh ke yuvaon par apne sath hi apne parwarvalo ki Bhi jimmedari hai isaliye ish second web ke doran Ahtiyat bartana jyada jaruri hai jab tak bahut jyada avashak na ho ghar se bahar na nikale 


Abhiwak aur students bhi bord parikshay cancel karne ki kar rahe mang 


Bata de ki CBSE ki 10वीं aur 12वीं ki bord ki pariksha 4 may se suru honi hai aur 10 juney tak chalegi vahin desh me corona sankramad ke badte mamlon ko dekhte huye students aur unke abhibhavak lagatar sarkar se guhar laga rahe hai ki pariksha radd ki jaye 


Lagatar tishre din desh me aaye  1.5 lack se jyada naye mamle  


Vahin swasthya mantralay ki aur se mangalwar ko jari kiye gaye aankadon ke mutabik desh me bite 24 ghanton me corona ke 1,61,736 naye mamle samane aaye hai ye tisara din hai jab desh me lagatar 1.5 lack se jyada corona sankramad ke mamle darj kiye gaye hai vahi bite 24 ghanton me 879 logon ki maut bhi hui hai 




Post a Comment

0 Comments