Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

When admission open in Delhi for 9th class in 2021

When admission open in Delhi for 9th class in 2021?

When admission open in Delhi for 9th class in 2021

New delhi online desk  Delhi Govt School Admission 2021: delhi ke sarkari school me apne bachchon ke dakhile ke ichchhuk parents ke liye parents  delhi sarkar ke  shiksha nideshalay ke adhin vibhinn sarkari schoolon me  6 class se  lekar 9  kakshaon me dakhil ke liye aavedan ki prakriya aaj 11 june  2021 se shuru hone ja raha hai 


Delhi sarkar me shiksha mantri manish sisodiya dawara  Thursday, 10 June ko di gai Aadhikarik jankari ke anusar har bar ki tarah ish varsh bhi delhi ke sarkari schoolon me dakhile ke liye  registration puri tarah se online honge aur ichchhuk  parents shiksha nideshalay ki 


Website (edudel.nic.in) par shukravar ki sham se active kiye jane vale online Admission Form ke madhyam se aavedan kar payenge 



2 charanon me honge delhi sarkari school me admission 2021

2 charanon me honge delhi sarkari school me admission 2021

Delhi shiksha mantri dwara sajha ki gai jankari aur  isake bad shiksha nideshalay dwara jari aadhikarik  shasakey suchana ke anusar rajdhani ke sarkari schoolon me chauthi se lekar  ninth tak ki kakshaon ke liye dakhile ki prakriya do  charanon me ki jani hai pahla charan me aavedan aaj  11 june se lekar  30 june 2021 ki sham 5 baje tak aavedan kiye ja sakenge 


Aavedan kiye ummidvaron ke liye schoolon ke aavantan ki list 14 July 2021 ko jari ki jayegi aur dakhile ke liye in  students ko aavantit school me 19 July se 31 July 2021 ke bich apne  documents submission karane honge


Isi prakar delhi se sarkari schoolon me 6 se  9 kakshaon me dakhile ke liye aavedan prakriya ka dushra charan 23 July se 6 August 2021 tak chali jayegi pahle charan me aavedan se vanchit  parents dusre charan me aavedan kar payenge dusre charan ke liye aavantit schoolon ki list  19 august ko jari hogi aur dakhila 21 august 31 august ke bich liya ja sakega 


Delhi sarkari school admission 2021: kaha aur kaise kare aavedan 


Delhi sarkari schoolon me se lekar nine class tak ki kakshaon me academic varsh 2021-22 me dakhile ke liye aavedan ke liye parents ko  delhi shiksha nideshalay ki  official website, edudel.nic.in par jana hoga aur isake bad home page par hi diye gaye ‘Govt. School Admissions’ link par click karna hoga ish ke bad naye page par aaj sham ko  active kiye jane vale aavedan ke link par click kar ke online registration ke page par pahunch payenge aavedan se pahle parents ko diye gaye nirdeshon ko dhyan se pad lena chahiye



Post a Comment

0 Comments